Popular Posts

Mere Dost

Powered By Blogger
Powered by Blogger.
Saturday, October 5, 2013
Navratri
nau raaton ka tyohar ye hai
Khushiyon ki bahaar ye hai
shradhdha ka khumar ye hai
Krupa jisme aprampaar, ye hai
 
aata ye khatama-e-barsat me
dastak iski Thand ki shuruaat me
sabhi lag jate mata ki ibadaat me
noor aisi ke faraq nahin din raat me
 
nau raaton ka tyohar ye hai
Khushiyon ki bahaar ye hai
shradhdha ka khumar ye hai
Krupa jisme aprampaar, ye hai
 
devi ke nau roop ki pooja hai
tujh jaisa yahan na dooja hai
krupa se mata koi na achhoota hai
deviyon ki devi sach me maa durga hai
 
nau raaton ka tyohar ye hai
Khushiyon ki bahaar ye hai
shradhdha ka khumar ye hai
Krupa jisme aprampaar, ye hai
 
parampara iski jaati vaidik kaal tak hai
krupa maa Ambe ki ameer-o-bad-haal tak hai
maa ko pata sabke dil ka haal tak hai
vas me inke janwar-o-insan ke khyal tak hai
 
nau raaton ka tyohar ye hai
Khushiyon ki bahaar ye hai
shradhdha ka khumar ye hai
Krupa jisme aprampaar, ye hai
 
Tu hee hai, mata shailputri
aradhna kerte teri pehli ratri
satwin shab ko mata kaal raatri
aakhiri shab ko sidhdhidaatri
 
nau raaton ka tyohar ye hai
Khushiyon ki bahaar ye hai
shradhdha ka khumar ye hai
Krupa jisme aprampaar, ye hai
 
Shakti ka tu roop hai mata
shakti pate tujhse jagat vidhata
bada chota sab tere dar pe aata
shradhdha se yahan sheesh nawata
 
nau raaton ka tyohar ye hai
Khushiyon ka bahaar ye hai
shradhdha ka khumar ye hai
Krupa jisme aprampaar, ye hai
 
dashara ke nayak bhagwan raam hai
sach ki jeet sada, jinka paighaam hai
aur bure ka sada bura anjaam hai
aise uttam purush ko reyaz ka salaam hai
 
nau raaton ka tyohar ye hai
Khushiyon ka bahaar ye hai
shradhdha ka khumar ye hai
Krupa jisme aprampaar, ye hai
 
 
 
 

0 comments: