Popular Posts

Mere Dost

Powered By Blogger
Powered by Blogger.
Saturday, December 1, 2012

Din ab bhi hota hai, aur raat hoti hai
Per ab kahan, inme woh baat hoti hai

Aql-O-dil ki kashmakash me, Sada hee
Dil jeet jata hai, Aql ki maat hoti hai

Sab sach rehta hai, kuch jhoot nahin rehta
Jab khud se meri mulaqaat hoti hai

Zara si zindagi pe, kitna itrata hai, Aulad-e-Adam
Bhool gaya ye shayad, badi khuda ki zaat hoti hai

Nakaami se na dar, aye raahi, Aksar hee
Isi se Kaamyabi ki shuruaat hoti hai

दिन अब भी होता है, और रात होती है
पर अब कहाँ, इनमे वो बात होती है

अक़्ल-ओ-दिल की कशमकश मे, सदा ही
दिल जीत जाता है, अक़्ल की मात होती है

सब सच रहता है, कुछ झूट नहीं रहता
जब खुद से मेरी मुलाक़ात होती है

ज़रा सी ज़िंदगी पे, कितना इतरता है, औलाद-ए-आदम
भूल गया ये शायद, बड़ी खुदा की ज़ात होती है

नाकामी से ना डर, आए राही, अक्सर ही
इसी से कामयाबी की शुरुआत होती है