Popular Posts

Mere Dost

Powered By Blogger
Powered by Blogger.
Friday, October 11, 2013
dusre se na koi ummeed rakho ab
khud apna maseeha aap bano ab
 
dar dar ker jeene ka waqt gaya ab
lad lad ker jeene ka waqt aya ab
 
zindaan-e-sinf-e-nazuki se azad ho ja
zaroorat hai waqt ki mom se faulad ho ja
 
chup chap sehne ki ye ab riwaaz uthao
her zulm pe ab tum buland awaz uthao
 
raah dushwaar hai, per tujhe chalna hoga
Himmat se tere, waqt ko badalna hoga
 
dil me sunehre kal ki tasweer rakh chalo
apne pe yaqeen rakh, taqdeer rakh chalo
 
is safar pe ab tujhe tanha hee chalna hai
qadam hile to sambhalna hai fir chalna hai
 
is jahan ki tu barabar ki hissedar hai
haq chheen lo,ye bheek nahin adhikar hai
 
fir kal subah ka suraj tera hoga
haseen fir kal se sawera hoga
 
nahin chahiye ki tum mujhko poojo
kam se kam mujhe insaan to boojho
दूसरे से ना कोई उम्मीद रखो अब
खुद अपना मसीहा आप बनो अब
 
डर डर कर जीने का वक़्त गया अब
लड़ लड़ कर जीने का वक़्त आया अब
 
ज़िंदान-ए-सिंफ-ए-नाज़ुकी से आज़ाद हो जा
ज़रूरत है वक़्त की मोम से फौलाद हो जा
 
चुप-चाप सहने की ये अब रिवाज़ उठाओ
हेर ज़ुल्म पे अब तुम बुलंद आवाज़ उठाओ
 
राह दुश्वार है, पर तुझे चलना होगा
हिम्मत से तेरे, वक़्त को बदलना होगा
 
दिल मे सुनहरे कल की तस्वीर रख चलो
अपने पे यक़ीन रख, तक़दीर रख चलो
 
इस सफ़र पे अब तुझे तन्हा ही चलना है
क़दम हीले तो संभालना है फिर चलना है
 
इस जहाँ की तू बराबर की हिस्सेदार है
हक़ छीन लो,ये भीख नहीं अधिकार है
 
फिर कल सुबह का सूरज तेरा होगा
हसीन फिर कल से सवेरा होगा
 
नहीं चाहिए की तुम मुझको पूजो
कम से कम मुझे इंसान तो बूझो
Saturday, October 5, 2013
Navratri
nau raaton ka tyohar ye hai
Khushiyon ki bahaar ye hai
shradhdha ka khumar ye hai
Krupa jisme aprampaar, ye hai
 
aata ye khatama-e-barsat me
dastak iski Thand ki shuruaat me
sabhi lag jate mata ki ibadaat me
noor aisi ke faraq nahin din raat me
 
nau raaton ka tyohar ye hai
Khushiyon ki bahaar ye hai
shradhdha ka khumar ye hai
Krupa jisme aprampaar, ye hai
 
devi ke nau roop ki pooja hai
tujh jaisa yahan na dooja hai
krupa se mata koi na achhoota hai
deviyon ki devi sach me maa durga hai
 
nau raaton ka tyohar ye hai
Khushiyon ki bahaar ye hai
shradhdha ka khumar ye hai
Krupa jisme aprampaar, ye hai
 
parampara iski jaati vaidik kaal tak hai
krupa maa Ambe ki ameer-o-bad-haal tak hai
maa ko pata sabke dil ka haal tak hai
vas me inke janwar-o-insan ke khyal tak hai
 
nau raaton ka tyohar ye hai
Khushiyon ki bahaar ye hai
shradhdha ka khumar ye hai
Krupa jisme aprampaar, ye hai
 
Tu hee hai, mata shailputri
aradhna kerte teri pehli ratri
satwin shab ko mata kaal raatri
aakhiri shab ko sidhdhidaatri
 
nau raaton ka tyohar ye hai
Khushiyon ki bahaar ye hai
shradhdha ka khumar ye hai
Krupa jisme aprampaar, ye hai
 
Shakti ka tu roop hai mata
shakti pate tujhse jagat vidhata
bada chota sab tere dar pe aata
shradhdha se yahan sheesh nawata
 
nau raaton ka tyohar ye hai
Khushiyon ka bahaar ye hai
shradhdha ka khumar ye hai
Krupa jisme aprampaar, ye hai
 
dashara ke nayak bhagwan raam hai
sach ki jeet sada, jinka paighaam hai
aur bure ka sada bura anjaam hai
aise uttam purush ko reyaz ka salaam hai
 
nau raaton ka tyohar ye hai
Khushiyon ka bahaar ye hai
shradhdha ka khumar ye hai
Krupa jisme aprampaar, ye hai
 
 
 
 
Tuesday, October 1, 2013
koi baat teri na lage buri, samjhdari aisi hua kare
tum raho mere, main teri, chahe kuch bhi hua kare

Khidmat me tumhare, sukoon hai ek dil ko
ye wo aalam hai, jab zakhm tujhe ho dard mujhe hua kare

zid karte ho tum aaj jane kyun, bachcho ki tarah
karta hai aise jab jise talab-e-mohabbat hua kare

shifa ho jaye tumhari ba asani, jald az jald
dua ye ho jaye poori jald az jald khuda kare

dekh kar mujhe khush huyi charon buzurg aankhein
khushi yun ke jab, aankhon se baarish hua kare