Popular Posts

Blog Archive

Mere Dost

Powered By Blogger
Powered by Blogger.
Wednesday, November 28, 2012
 
 
Zindagi ka karoon, kyun ker yaqeen, ye to sab se hee dagha ker gayi
Jin se thi mujhe wafa ki ummeed, sab se pehle wohi zafa ker gayi

Jab bhi pareshan hota hoon, maa ko yaad ker leta hoon
Uske dua ki azmat to dekho, her marz ki shifa ker gayi

Kitne nasamajh ho gaye hain, zamane ke log, samajhte nahin
Insaaniyat wo shai hai, jo sada, nafaa ker gayi

kabhi bhi, apne maa-baap ko dard na dena
unke Aansoo ka ek qatra bhi, jannat ko khafa ker gayi
 
ज़िंदगी का करूँ, क्यूँ कर यक़ीन, ये तो सब से ही दगा कर गयी
जिन से थी मुझे वफ़ा की उम्मीद, सब से पहले वोही ज़फ़ा कर गयी

जब भी परेशन होता हूँ, माँ को याद कर लेता हूँ
उसके दुआ की आज़मात तो देखो, हर मर्ज़ की शिफा कर गयी

कितने नासमझ हो गये हैं, ज़माने के लोग, समझते नहीं
इंसानियत वो शै है, जो सदा, ऩफा कर गयी

कभी भी, अपने मा-बाप को दर्द ना देना
उनके आँसू का एक क़तरा भी, जन्नत को खफा कर गयी 

0 comments: