Popular Posts
-
koi baat teri na lage buri, samjhdari aisi hua kare tum raho mere, main teri, chahe kuch bhi hua kare Khidmat me tumhare, sukoon hai ek di...
-
Aye nizam-e-Jamhuri, hai tujhse shikayat Ye kaisi hukumat hai, ye kaisi siyasat Ye hindu, wo Muslim. Ye marathi, Ye bihari Deewarein...
-
Din ab bhi hota hai, aur raat hoti hai Per ab kahan, inme woh baat hoti hai Aql-O-dil ki kashmakash me, Sada hee Dil jeet jata ...
-
Aan hai meri, Hindustan Baan hai meri, Hindustan Shaan hai meri, Hindustan ...
-
سیاست Ghareebi,Bhukhmari,bimari aur jahalat Mulk ki kaisi bani huyi hai aaj haalat Bikta hai yahan sabkuch,deen-o-iman-o-adal bazar b...
-
Navratri nau raaton ka tyohar ye hai Khushiyon ki bahaar ye hai shradhdha ka khumar ye hai Krupa jisme aprampaar, ye hai aata ye k...
-
dusre se na koi ummeed rakho ab khud apna maseeha aap bano ab dar dar ker jeene ka waqt gaya ab lad lad ker jeene ka waqt aya ab ...
-
Wo Shaher utna bada nahin tha nafrat ka koi rang chadha nahin tha gali theen, sadkein theen, Theen Bazarein Her simat faili hua kart...
-
Ye marghat sabhi ko shaher lagta hai Yahan sach bolne me darr lagta hai Haq-o-Adal ki baat kerta hai wo Naye waqt se bekhabar lagata h...
Blog Archive
-
▼
2012
(31)
-
▼
November
(26)
-
▼
Nov 28
(24)
- Zindagi (ज़िंदगी )
- Maa (माँ )
- yaad (याद )
- Naya Zamana (नया ज़माना)
- Kya Hai (क्या है)
- Taat pe so gaya koi aaram se (टाट पे सो गया कोई आर...
- Doston ki dosti (दोस्तों की दोस्ती)
- Yaad (याद)
- Hukoomat (हकूमत)
- Zindagi (ज़िंदगी )
- Qanoon aur Haqeeqat (क़ानून और हक़ीक़त)
- Holi (होली )
- Malal Rehta hai (मलाल रहता है)
- Hindi Aur Urdu (हिन्दी और उर्दू)
- Nazdoor/Majboor (मज़दूर /मजबूर )
- Kyun Hai (क्यूँ है)
- Milte Hain (मिलते हैं.)
- Safar (सफ़र )
- Nizam-e-Jamhuri (निज़म-ए-जम्हूरी)
- Zindagi (ज़िन्दगी)
- Zindagi (जिंदगी )
- Naya Saal (नया साल)
- Hindustan (हिन्दुस्तान )
- Kab dur jahan se, andherea hoga (कब दूर जहाँ से, अ...
-
▼
Nov 28
(24)
-
▼
November
(26)
About Me
Mere Dost
Powered by Blogger.
Wednesday, November 28, 2012
tere yaadon ki gathri, sada mere sath rehti hai
jab tu na hota hai, to teri yaad rehti hai
Jab bhi uthti hai, hath meri dua mein
Ek baar mulaqqat ki bas fariyad rehti hai
Ab to halat apni, kuch yoon ho gayi hai
Her waqt, aankhon me aansoo ek-aadh rehti hai
Be khudi ka aalam, ye hai ab to
Meri apni her chahat, tere baad rehti hai
Zindagi guzarne ka nushkha bhi, hamne dhoondh hee liya
Her waqt ab, tere sath guzaare waqt ki yaad rehti hai
Sari raat raha tere khayal me, aur subah ho gayi
Meri chashm-e-neem-baaz (Adh khuli aankh), iski saad (Gawaah) rehti hai
aankh aur dil ka rishta hai kitna sachcha,
Aankh me jhalak hoti hai, dil me jinki buniyaad rehti hai
Wo mujhse puchta hai, kya hoti hai mohabbat ki umar
Use main kaise bataoon, qayamat tak jiski miyaad rehti hai
तेरे यादों की गठरी, सदा मेरे साथ रहती है
जब तू ना होता है, तो तेरी याद रहती है
जब भी उठती है, हाथ मेरी दुआ में
एक बार मुलाक़ात की बस फरियाद रहती है
अब तो हालत अपनी, कुछ यूँ हो गयी है
हर वक़्त, आँखों मे आँसू एक-आध रहती है
बे खुदी का आलम, ये है अब तो
मेरी अपनी हर चाहत, तेरे बाद रहती है
ज़िंदगी गुज़ारने का नुश्खा भी, हमने ढूँढ ही लिया
हेर वक़्त अब, तेरे साथ गुज़ारे वक़्त की याद रहती है
सारी रात रहा तेरे ख़याल मे, और सुबह हो गयी
मेरी चश्म-ए-नीम-बाज़ (आध खुली आँख), इसकी साद (गवाह) रहती है
आँख और दिल का रिश्ता है कितना सच्चा,
आँख मे झलक होती है, दिल मे जिनकी बुनियाद रहती है
वो मुझसे पूछता है, क्या होती है मोहब्बत की उमर
उसे मैं कैसे बताऊं, क़यामत तक जिसकी मियाद रहती है
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


0 comments:
Post a Comment