Popular Posts
-
koi baat teri na lage buri, samjhdari aisi hua kare tum raho mere, main teri, chahe kuch bhi hua kare Khidmat me tumhare, sukoon hai ek di...
-
Aye nizam-e-Jamhuri, hai tujhse shikayat Ye kaisi hukumat hai, ye kaisi siyasat Ye hindu, wo Muslim. Ye marathi, Ye bihari Deewarein...
-
Din ab bhi hota hai, aur raat hoti hai Per ab kahan, inme woh baat hoti hai Aql-O-dil ki kashmakash me, Sada hee Dil jeet jata ...
-
Aan hai meri, Hindustan Baan hai meri, Hindustan Shaan hai meri, Hindustan ...
-
سیاست Ghareebi,Bhukhmari,bimari aur jahalat Mulk ki kaisi bani huyi hai aaj haalat Bikta hai yahan sabkuch,deen-o-iman-o-adal bazar b...
-
Navratri nau raaton ka tyohar ye hai Khushiyon ki bahaar ye hai shradhdha ka khumar ye hai Krupa jisme aprampaar, ye hai aata ye k...
-
dusre se na koi ummeed rakho ab khud apna maseeha aap bano ab dar dar ker jeene ka waqt gaya ab lad lad ker jeene ka waqt aya ab ...
-
Wo Shaher utna bada nahin tha nafrat ka koi rang chadha nahin tha gali theen, sadkein theen, Theen Bazarein Her simat faili hua kart...
-
Ye marghat sabhi ko shaher lagta hai Yahan sach bolne me darr lagta hai Haq-o-Adal ki baat kerta hai wo Naye waqt se bekhabar lagata h...
Blog Archive
-
▼
2012
(31)
-
▼
November
(26)
-
▼
Nov 28
(24)
- Zindagi (ज़िंदगी )
- Maa (माँ )
- yaad (याद )
- Naya Zamana (नया ज़माना)
- Kya Hai (क्या है)
- Taat pe so gaya koi aaram se (टाट पे सो गया कोई आर...
- Doston ki dosti (दोस्तों की दोस्ती)
- Yaad (याद)
- Hukoomat (हकूमत)
- Zindagi (ज़िंदगी )
- Qanoon aur Haqeeqat (क़ानून और हक़ीक़त)
- Holi (होली )
- Malal Rehta hai (मलाल रहता है)
- Hindi Aur Urdu (हिन्दी और उर्दू)
- Nazdoor/Majboor (मज़दूर /मजबूर )
- Kyun Hai (क्यूँ है)
- Milte Hain (मिलते हैं.)
- Safar (सफ़र )
- Nizam-e-Jamhuri (निज़म-ए-जम्हूरी)
- Zindagi (ज़िन्दगी)
- Zindagi (जिंदगी )
- Naya Saal (नया साल)
- Hindustan (हिन्दुस्तान )
- Kab dur jahan se, andherea hoga (कब दूर जहाँ से, अ...
-
▼
Nov 28
(24)
-
▼
November
(26)
About Me
Mere Dost
Powered by Blogger.
Wednesday, November 28, 2012
Jabke, Mujhko maalom hai ke tera mera
koi waasta nahin
fir bhi, shab-o-roz, iss dil me tera khayal kyun hai
fir bhi, shab-o-roz, iss dil me tera khayal kyun hai
Aisa mujhe mehssos hota hai, ke pareshan ho tum
Aur iss wajah se meri zindagi behaal kyun hai
kal, ek arse baad tum se huyi tumse do pal ki baat
iss choti si baat pe, mera dil Nihaal kyun hai
Pucha, to kaha tumne, ke main bahot khush hoon
fir is noor se chehre pe ye zulmati zawaal kyun hai
kehne ko to tu khush hai, duniya ke riwaazon se
Fir Reyaz tere honthon pe itne sawal kyun hai
जबके, मुझको मालूम है के तेरा मेरा कोई वास्ता नहीं
फिर भी, शब-ओ-रोज़, इस दिल मे तेरा ख़याल क्यूँ है
ऐसा मुझे महसूस होता है, के परेशान हो तुम
और इस वजह से मेरी ज़िंदगी बेहाल क्यूँ है
कल, एक अरसे बाद तुम से हुई तुमसे दो पल की बात
इस छोटी सी बात पे, मेरा दिल निहाल क्यूँ है
पूछा, तो कहा तुमने, के मैं बहोत खुश हूँ
फिर इस नूर से चेहरे पे ये ज़ुलमति ज़वाल क्यूँ है
कहने को तो तू खुश है, दुनिया के रिवाज़ों से
फिर रेयाज़ तेरे होंठों पे इतने सवाल क्यूँ है
फिर भी, शब-ओ-रोज़, इस दिल मे तेरा ख़याल क्यूँ है
ऐसा मुझे महसूस होता है, के परेशान हो तुम
और इस वजह से मेरी ज़िंदगी बेहाल क्यूँ है
कल, एक अरसे बाद तुम से हुई तुमसे दो पल की बात
इस छोटी सी बात पे, मेरा दिल निहाल क्यूँ है
पूछा, तो कहा तुमने, के मैं बहोत खुश हूँ
फिर इस नूर से चेहरे पे ये ज़ुलमति ज़वाल क्यूँ है
कहने को तो तू खुश है, दुनिया के रिवाज़ों से
फिर रेयाज़ तेरे होंठों पे इतने सवाल क्यूँ है
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


0 comments:
Post a Comment